Shayari
ham us ki khaatir bachaa na paaeinge umr apni
fuzul-kharchi ki ham ko aadat si ho gai hai
ye kyaa bad-mazaaqi hai gard jhaaDte kyuun ho
is makaan-e-khasta mein yaar ham bhi rahte hain
یہ کیا بدمذاقی ہے گرد جھاڑتے کیوں ہو
اس مکان خستہ میں یار ہم بھی رہتے ہیں
ये क्या बद-मज़ाक़ी है गर्द झाड़ते क्यूँ हो
इस मकान-ए-ख़स्ता में यार हम भी रहते हैं

ham us ki khaatir bachaa na paaeinge umr apni
fuzul-kharchi ki ham ko aadat si ho gai hai
fasl boi bhi ham ne kaaTi bhi
ab na kahnaa zamin banjar hai
us ke shar se main sadaa maangtaa rahtaa huun panaah
isi duniyaa se mohabbat bhi balaa ki hai mujhe
hans hans ke us se baatein kiye jaa rahe ho tum
'saabir' vo dil mein aur hi kuchh sochtaa na ho
tire tasavvur ki dhuup oDhe khaDaa huun chhat par
mire liye sardiyon kaa mausam zaraa alag hai
chilchilaati-dhup thi lekin thaa saaya ham-qadam
saaebaan ki chhaanv ne mujh ko akelaa kar diyaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
subh-saveraa daftar biivi bachche mahfil nindein raat
yaar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasaani par
miri khabar to kisi ko nahin magar 'akhtar'
zamaana apne liye hoshiyaar kaisaa hai