Shayari
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
kuchh be-Thikaana karti rahin hijratein mudaam
kuchh meri vahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiyaa
کچھ بے ٹھکانہ کرتی رہیں ہجرتیں مدام
کچھ میری وحشتوں نے مجھے در بدر کیا
कुछ बे-ठिकाना करती रहीं हिजरतें मुदाम
कुछ मेरी वहशतों ने मुझे दर-ब-दर किया

duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
har shakhs bichhaD chukaa hai mujh se
kyaa jaaniye kis ko DhunDhtaa huun
hai ek hi lamha jo kahin vasl kahin hijr
taklif kisi ke liye aaraam kisi kaa
kabhi khushbu kabhi saaya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron mein visaalon mein mire paas raho
hijr kuchh is tarah ataa ho mujhe
meraa jis mein visaal ho jaae
hijr ke chhoTe gaanv se ham ne shahr-e-vasl ko hijrat ki
shahr-e-vasl ne niind uDaa kar khvaabon ko paamaal kiyaa
haakim-e-shahr ki khvaahish ki hukumat ki jaae
varna haalaat to aise hain ki hijrat ki jaae
is liye saanp mujhe DhunD rahe hain pyaare
main mahaktaa huun tire hijr mein sandal ho kar