Shayari
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
muD ke jo aa nahin paayaa hogaa us kuche mein jaa ke 'zafar'
ham jaisaa be-bas hogaa ham jaisaa tanhaa hogaa
مڑ کے جو آ نہیں پایا ہوگا اس کوچے میں جا کے ظفرؔ
ہم جیسا بے بس ہوگا ہم جیسا تنہا ہوگا
मुड़ के जो आ नहीं पाया होगा उस कूचे में जा के 'ज़फ़र'
हम जैसा बे-बस होगा हम जैसा तन्हा होगा

duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
har shakhs bichhaD chukaa hai mujh se
kyaa jaaniye kis ko DhunDhtaa huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
rang apne jo the bhar bhi kahaan paae kabhi ham
ham ne to sadaa radd-e-amal mein hi basar ki
ye saDi laashon ki badbu aur ye shoalon kaa raqs
hai zamin par aaj kis ki hukmaraani kyaa likhun
ye zakhm-e-anaa kaafi hai ai yusuf-e-dauraan
is chashm-e-zulekhaa ko tu ghamnaak na karnaa