Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt ke saath 'sadaa' badle ta'alluq kitne
tab gale milte the ab haath milaayaa na gayaa
وقت کے ساتھ صداؔ بدلے تعلق کتنے
تب گلے ملتے تھے اب ہاتھ ملایا نہ گیا
वक़्त के साथ 'सदा' बदले तअल्लुक़ कितने
तब गले मिलते थे अब हाथ मिलाया न गया

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sukhan raaz-e-nashaat-o-gham kaa parda ho hi jaataa hai
ghazal kah lein to ji kaa bojh halkaa ho hi jaataa hai
uljhi thi jin mein ek zamaane se zindagi
kyuun ai gham-e-hayaat vo gesu sanvar gae
hain hamaare jitne leader sabhi bhuTTe chor kyon hain
koi chaara-saaz hotaa koi gham-gusaar hotaa