Shayari
ye miraa ilhaam hai vo miri tadbir hai
main na junun kaa asiir main na khirad kaa ghulaam
main faqir huun duaa hai
mire paas aur kyaa hai
میں فقیر ہوں دعا ہے
مرے پاس اور کیا ہے
मैं फ़क़ीर हूँ दुआ है
मिरे पास और क्या है

ye miraa ilhaam hai vo miri tadbir hai
main na junun kaa asiir main na khirad kaa ghulaam
ek ham tinon mein mar jaae to chhap jaaegi
likh to rakkhi hai tiri prem kahaani main ne
sajda kahaan lagaa hai hamaari jabin kaa
charchaa hai phir falak pe tire dar-nashin kaa
shabaab tum se karegaa jo tum ne ham se kiyaa
tumhaaraa husn bhi niklegaa bevafaa mausam
aayaa thaa sun ke shahr mein daulat ki rel-pel
kal mill mein kaT ke mar gayaa beTaa kisaan kaa
mire to phuul bhi tum ho sabaa bhi khushbu bhi
nahin ho tum to nahin mere kaam kaa mausam
baazi-gaah-e-daar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein
ham rindon se raunaq hai ham durveshon se mele hain
gumaan kis par karein suufi idhar hai us taraf vaaiz
khudaa rakkhe mohalle mein sabhi allaah vaale hain
jis din se apnaa tarz-e-faqiraana chhuT gayaa
shaahi to mil gai dil-e-shaahaana chhuT gayaa
ho gayaa huun main naqaab-e-ru-e-raushan par faqir
chaahiye tah-band mujh ko chaadar-e-mahtaab kaa
jazba-e-ishq chaahiye suufi
jo hai afsurda ahl-e-haal nahin
chaand mein darvesh hai jugnu mein jogi
kaun hai vo aur kis ko khojtaa hai