Shayari
dasht gulzaar huaa jaataa hai
kyaa yahaan ahl-e-vafaa baiThe the
jis ko dil se lagaa ke rakkhaa thaa
vo khazaana luTaa gae aansu
جس کو دل سے لگا کے رکھا تھا
وہ خزانہ لٹا گئے آنسو
जिस को दिल से लगा के रक्खा था
वो ख़ज़ाना लुटा गए आँसू

dasht gulzaar huaa jaataa hai
kyaa yahaan ahl-e-vafaa baiThe the
ronaa mujhe khizaan kaa nahin kuchh magar 'shamim'
is kaa gila hai aai chaman mein bahaar kyuun
hosh aayaa to kahin kuchh bhi na thaa
ham bhi kis bazm mein jaa baiThe the
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko kharaab-e-talkhi-e-hijraan to kijiye
bahaar-e-nau ki phir hai aamad aamad
chaman ujDaa koi phir ham-nafas kyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tum kyon udaas ho gae maidaan-e-hashr mein
kah do to dil ki dil mein miri daastaan rahe
us ne meri shaakhon ko is tarah numu bakhshi
zakhm ke khileinge phuul dard kaa chaman hogaa
kamre mein dhuaan dard ki pahchaan banaa thaa
kal raat koi phir miraa mehmaan banaa thaa