Shayari
ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
ab na aaeinge ruThne vaale
dida-e-ashk-baar chup ho jaa
اب نہ آئیں گے روٹھنے والے
دیدۂ اشک بار چپ ہو جا
अब न आएँगे रूठने वाले
दीदा-ए-अश्क-बार चुप हो जा

ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
kal jinhein chhu nahin sakti thi farishton ki nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
charaagh-e-tur jalaao baDaa andheraa hai
zaraa naqaab uThaao baDaa andheraa hai
log kahte hain raat biit chuki
mujh ko samjhaao! main sharaabi huun
ye zulf-bar-dosh kaun aayaa ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai fazaa-e-hasti tamaam aalam bahaar saa hai
teri surat jo ittifaaq se ham
bhuul jaaein to kyaa tamaashaa ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
main chup rahtaa huun itnaa bol kar bhi
tu chup rah kar bhi kitnaa boltaa hai
ufuq pe yaadon ke zard aanchal mein lipTaa suraj
aur us pe shaamon ke saath Dhalti 'ajib si chup
main saada-lauh kartaa bhi kyaa tere shahr mein
chup-chaap yaar logon kaa fan dekhtaa rahaa
bazm ko rang-e-sukhan main ne diyaa hai 'akhgar'
log chup chup the miri tarz-e-navaa se pahle
janaaze vaalo na chupke qadam baDhaae chalo
usi kaa kuche hai Tuk karte haae haae chalo