Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
har-chand miri quvvat-e-guftaar hai mahbus
khaamosh magar tab-e-khud-aaraa nahin hoti
ہر چند مری قوت گفتار ہے محبوس
خاموش مگر طبع خود آرا نہیں ہوتی
हर-चंद मिरी क़ुव्वत-ए-गुफ़्तार है महबूस
ख़ामोश मगर तब-ए-ख़ुद-आरा नहीं होती

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
vasl ki arz kaa jab vaqt kabhi paataa huun
jaa hain khaamoshi siin tab lab mire aapas mein mil
chup kahin aur liye phirti thi baatein kahin aur
din kahin aur guzarte the to raatein kahin aur
dafnaa diyaa thaa jin ko gunje hain har taraf ab
meri khamoshiyon ko aavaaz mil gai hai
kyuun sharik-e-gham banaate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suuli apne kaandhe par uThaao chup raho
dilon ke mel se aage labon ke silsile saare
jo lab khaamosh hote hain to aankhein baat karti hain