Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
kyaa mol lag rahaa hai shahidon ke khuun kaa
marte the jin pe ham vo sazaa-yaab kyaa hue
کیا مول لگ رہا ہے شہیدوں کے خون کا
مرتے تھے جن پہ ہم وہ سزا یاب کیا ہوئے
क्या मोल लग रहा है शहीदों के ख़ून का
मरते थे जिन पे हम वो सज़ा-याब क्या हुए

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
shahidaan-e-vafaa ki manqabat likhte rahe lekin
na ki arzi khudaaon ki kabhi hamd-o-sanaa ham ne
paanv se lag ke khaDi hai ye gharib-ul-vatani
us ko samjhaao ki ham apne vatan aae hain
mili hai hukmraani des ki jab paarsaaon ko
to apni qaum kyuun phir vaardaati hoti jaati hai
vallaah in shahidon kaa meaar dekh kar
hai marg-e-shauq aur sivaa daar dekh kar
maujud mere dil mein tumhaari jo yaad hai
ye meri milkiyat hai miri jaaedaad hai