Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
maanaa ki is zamin ko na gulzaar kar sake
kuchh khaar kam to kar gae guzre jidhar se ham
مانا کہ اس زمیں کو نہ گلزار کر سکے
کچھ خار کم تو کر گئے گزرے جدھر سے ہم
माना कि इस ज़मीं को न गुलज़ार कर सके
कुछ ख़ार कम तो कर गए गुज़रे जिधर से हम

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
saath jab chhoD gae meraa tum ai kuza-gar
khud ko majburi mein phir khud hi taraashaa main ne
us ek ashk kaa bahnaa nasheb-e-jaan ki taraf
aur andarun mein har samt nuur ho jaanaa
chashm-e-inkaar mein iqraar bhi ho saktaa thaa
chheDne ko mujhe phir meri anaa puchhti hai