Shayari
chand lamhe ko tu khvaabon mein bhi aa kar jhaank le
zindagi tujh se mile kitne zamaane ho gae
S
Sarfraz Danishgham kaa suraj to Dubtaa hi nahin
dhuup hi dhuup hai kidhar jaaein
غم کا سورج تو ڈوبتا ہی نہیں
دھوپ ہی دھوپ ہے کدھر جائیں
ग़म का सूरज तो डूबता ही नहीं
धूप ही धूप है किधर जाएँ
chand lamhe ko tu khvaabon mein bhi aa kar jhaank le
zindagi tujh se mile kitne zamaane ho gae
ham apne jalte hue ghar ko kaise ro lete
hamaare chaaron taraf ek hi nazaaraa thaa
hamaaraa sher bhi lauh-e-tilism hai shaayad
har ek rukh se hamein be-naqaab kartaa hai
shahr bhar ke aainon par khaak Daali jaaegi
aaj phir sachchaai ki surat chhupaa li jaaegi
tilism toD diyaa ik sharir bachche ne
miraa vajud udaasi kaa istiaaraa thaa
raat ki sarhad yaqinan aa gai
jism se saayaa judaa hone lagaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain