Shayari
ik kaar-e-muhaal kar rahaa huun
zinda huun kamaal kar rahaa huun
main ne ibaadaton ko mohabbat banaa diyaa
aankhein buton ke saath rahin dil khudaa ke saath
میں نے عبادتوں کو محبت بنا دیا
آنکھیں بتوں کے ساتھ رہیں دل خدا کے ساتھ
मैं ने इबादतों को मोहब्बत बना दिया
आँखें बुतों के साथ रहीं दिल ख़ुदा के साथ

ik kaar-e-muhaal kar rahaa huun
zinda huun kamaal kar rahaa huun
ujDe hain kai shahar, to ye shahar basaa hai
ye shahar bhi chhoDaa to kidhar jaaoge logo
niind TuuTi hai to ehsaas-e-ziyaan bhi jaagaa
dhuup divaar se aangan mein utar aai hai
naa-mustajaab itni duaaein huiin ki phir
meraa yaqin bhi uTh gayaa rasm-e-duaa ke saath
'sarshaar' main ne ishq ke maani badal diye
is aashiqi mein pahle na thaa vasl kaa chalan
miri talab mein takalluf bhi inkisaar bhi thaa
vo nukta-sanj thaa sab mere hasb-e-haal diyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
zindagi kis tarah basar hogi
dil nahin lag rahaa mohabbat mein