Shayari
nazar rakhte hain us ki har adaa par
ba-zaahir be-khabar hote hue bhi
bahut ghaaTe mein hai urdu zabaan kyon
mohabbat ki zabaan hote hue bhi
بہت گھاٹے میں ہے اردو زباں کیوں
محبت کی زباں ہوتے ہوئے بھی
बहुत घाटे में है उर्दू ज़बाँ क्यों
मोहब्बत की ज़बाँ होते हुए भी

nazar rakhte hain us ki har adaa par
ba-zaahir be-khabar hote hue bhi
hamaare 'ahd mein kyon jahl kaa hai rutba buland
shikast khaai hui aagahi savaal uThaa
ajiib khauf kaa aalam hai apne chaaron taraf
safar mein lagtaa hai ye aakhiri safar to nahin
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniyaa ko sameTeinge kisi din
ab aur kyaa kahun main mohabbat ke baab mein
main un ke saath huun jo mohabbat ke saath hain
kitnaa dushvaar lag rahaa thaa safar
dekho ham aa gae vahaan se yahaan
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat but-kade mein chal ke us kaa faisla kar de
khudaa meraa khudaa hai yaa ye murat hai khudaa meri
meraa dil-e-'muztar' but-e-kaafir se lagaa hai
aur aankh miri su-e-khudaa dekh rahi hai
hubb-e-duniyaa ulfat-e-zar dil se dam-bhar kam nahin
us par ai zaahid iraada hai khudaa ki yaad kaa