Shayari
dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
khudaa aur naakhudaa mil kar Dubo dein ye to mumkin hai
meri vajh-e-tabaahi sirf tufaan ho nahin saktaa
خدا اور ناخدا مل کر ڈبو دیں یہ تو ممکن ہے
میری وجہ تباہی صرف طوفاں ہو نہیں سکتا
ख़ुदा और नाख़ुदा मिल कर डुबो दें ये तो मुमकिन है
मेरी वज्ह-ए-तबाही सिर्फ़ तूफ़ाँ हो नहीं सकता

dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
tujhe daanista mahfil mein jo dekhaa ho to mujrim huun
nazar aakhir nazar hai be-iraada uTh gai hogi
manzil mili muraad mili muddaaa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
dekhte hi dekhte duniyaa se main uTh jaaungaa
dekhti ki dekhti rah jaaegi duniyaa mujhe
dil-e-aafat-zada kaa muddaaa kyaa
shikasta saaz kyaa us ki sadaa kyaa
chamak jugnu ki barq-e-be-amaan maalum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-aashiyaan maalum hoti hai
azm-e-mohkam ho to hoti hain balaaein paspaa
kitne tufaan palaT detaa hai saahil tanhaa
na mudaaraat hamaari na adu se nafrat
na vafaa hi tumhein aai na jafaa hi aai
kisi ki raah mein 'faaruq' barbaad-e-vafaa ho kar
buraa kyaa hai ki apne haq mein achchhaa kar liyaa main ne
dil miraa shaaki-e-jafaa na huaa
ye vafaadaar bevafaa na huaa
fikr-e-jahaan nahin hai umid-e-vafaa nahin
jiine kaa koi bhi to bahaana nahin rahaa
muD ke tufaan ko baarhaa dekhaa
nazd-e-saahil jo mauj le aai