Shayari
dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
manzil mili muraad mili muddaaa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
منزل ملی مراد ملی مدعا ملا
سب کچھ مجھے ملا جو ترا نقش پا ملا
मंज़िल मिली मुराद मिली मुद्दआ मिला
सब कुछ मुझे मिला जो तिरा नक़्श-ए-पा मिला

dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
tujhe daanista mahfil mein jo dekhaa ho to mujrim huun
nazar aakhir nazar hai be-iraada uTh gai hogi
khudaa aur naakhudaa mil kar Dubo dein ye to mumkin hai
meri vajh-e-tabaahi sirf tufaan ho nahin saktaa
dekhte hi dekhte duniyaa se main uTh jaaungaa
dekhti ki dekhti rah jaaegi duniyaa mujhe
dil-e-aafat-zada kaa muddaaa kyaa
shikasta saaz kyaa us ki sadaa kyaa
chamak jugnu ki barq-e-be-amaan maalum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-aashiyaan maalum hoti hai
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
kab tak tu aasmaan mein chhup ke baiThegaa
maang rahaa huun main kab se duaa baahar aa
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
ai dost is zamaan-o-makaan ke azaab mein
dushman hai jo kisi ko duaa-e-hayaat de
ye naqsha hai ki munh takne lagaa hai muddaaa meraa
ye haalat hai ki surat dekhtaa hai muddai meri
fazaa mein haath to uTThe the ek saath kai
kisi ke vaaste koi duaa na kartaa thaa