Shayari
chaand hai teraa ham-safar koi nahin hai raahbar
aage qadam baDhaa ke rakh duur ki raushni na dekh
nahin ki zindagi hamein kahaan kahaan liye phiri
hai yuun ki ham gae use kahaan kahaan liye hue
نہیں کہ زندگی ہمیں کہاں کہاں لئے پھری
ہے یوں کہ ہم گئے اسے کہاں کہاں لئے ہوئے
नहीं कि ज़िंदगी हमें कहाँ कहाँ लिए फिरी
है यूँ कि हम गए उसे कहाँ कहाँ लिए हुए

chaand hai teraa ham-safar koi nahin hai raahbar
aage qadam baDhaa ke rakh duur ki raushni na dekh
tum khud hi chale aaoge shaayad sar-e-manzil
ik raah nikaali hai miri dar-badari ne
baagh kaa dard usi phuul ke dil se puchho
muskuraataa huaa jo daur-e-khizaan se guzre
is ehtimaam se aksar uThe hain paimaane
ki buund buund ko main jaanon yaa khudaa jaane
tiraa khayaal de gayaa hai aasraa kahin kahin
tiraa firaaq hausle baDhaa gayaa kabhi kabhi
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ye zindagi jise apnaa samajh rahe hain sab
hai mustaaar faqat raunaq-e-jahaan ke liye
kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
khud un ko ham ne ubhaaraa hai barhami ke liye
tujh se kyaa subh talak saath nibhegaa ai umr
shab-e-furqat ki jo ghaDiyon kaa guzarnaa hai yahi