Shayari
zalzale kaa thaa safar jis mein ki masti ham ne
khushk chaTTaanon pe dauDaa di hai kashti ham ne
sab 'aashiq thak gae upload kar ke apni site par
visaal-e-yaar ki cd mein sau sau pech-o-kham nikle
سب عاشق تھک گئے اپلوڈ کر کے اپنی سائٹ پر
وصال یار کی سی ڈی میں سو سو پیچ و خم نکلے
सब 'आशिक़ थक गए अपलोड कर के अपनी साइट पर
विसाल-ए-यार की सी-डी में सौ सौ पेच-ओ-ख़म निकले

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
tazkire mein tire ik naam ko yuun joD diyaa
doston ne mujhe shishe ki tarah toD diyaa
ham ko yaaron ne yaad bhi na rakhaa
'jaun' yaaron ke yaar the ham to