Shayari
tabaah kar gai pakke makaan ki khvaahish
main apne gaanv ke kachche makaan se bhi gayaa
is soch mein zindagi bitaa di
jaagaa huaa huun ki so rahaa huun
اس سوچ میں زندگی بتا دی
جاگا ہوا ہوں کہ سو رہا ہوں
इस सोच में ज़िंदगी बिता दी
जागा हुआ हूँ कि सो रहा हूँ

tabaah kar gai pakke makaan ki khvaahish
main apne gaanv ke kachche makaan se bhi gayaa
kaanTon ko pilaa ke khuun apnaa
raahon mein gulaab bo rahaa huun
be-sabab baat baDhaane ki zarurat kyaa hai
ham khafaa kab the manaane ki zarurat kyaa hai
mai-khaane ki baat na kar vaaiz mujh se
aanaa jaanaa teraa bhi hai meraa bhi
girne do tum mujhe miraa saaghar sambhaal lo
itnaa to mere yaar karo main nashe mein huun
zindagi ik aansuon kaa jaam thaa
pi gae kuchh aur kuchh chhalkaa gae
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
kabhi mauj-e-khvaab mein kho gayaa kabhi thak ke ret pe so gayaa
yunhi umr saari guzaar di faqat aarzu-e-visaal mein
zindagi mein kasak zaruri thi
ye khalaa pur tiri kami se huaa
kuchh aise phuul bhi guzre hain meri nazron se
jo khil ke bhi na samajh paae zindagi kyaa hai