Shayari
is soch mein zindagi bitaa di
jaagaa huaa huun ki so rahaa huun
tabaah kar gai pakke makaan ki khvaahish
main apne gaanv ke kachche makaan se bhi gayaa
تباہ کر گئی پکے مکان کی خواہش
میں اپنے گاؤں کے کچے مکان سے بھی گیا
तबाह कर गई पक्के मकान की ख़्वाहिश
मैं अपने गाँव के कच्चे मकान से भी गया

is soch mein zindagi bitaa di
jaagaa huaa huun ki so rahaa huun
kaanTon ko pilaa ke khuun apnaa
raahon mein gulaab bo rahaa huun
be-sabab baat baDhaane ki zarurat kyaa hai
ham khafaa kab the manaane ki zarurat kyaa hai
mai-khaane ki baat na kar vaaiz mujh se
aanaa jaanaa teraa bhi hai meraa bhi
girne do tum mujhe miraa saaghar sambhaal lo
itnaa to mere yaar karo main nashe mein huun
zindagi ik aansuon kaa jaam thaa
pi gae kuchh aur kuchh chhalkaa gae
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
vaise kyaa ghaTiyaa si shai hai ye tamannaa kaa fareb
aap jaison ko bhi ham jaise taras jaate hain
ab mohabbat kaa sabab hai vahshat
varna hasrat to miTaa di gai hai
shab ko miri chashm-e-hasrat kaa sab dard-e-dil un se kah jaanaa
daanton mein dabaa kar honT apnaa kuchh soch ke us kaa rah jaanaa