Shayari
is soch mein zindagi bitaa di
jaagaa huaa huun ki so rahaa huun
zindagi ik aansuon kaa jaam thaa
pi gae kuchh aur kuchh chhalkaa gae
زندگی اک آنسوؤں کا جام تھا
پی گئے کچھ اور کچھ چھلکا گئے
ज़िंदगी इक आँसुओं का जाम था
पी गए कुछ और कुछ छलका गए

is soch mein zindagi bitaa di
jaagaa huaa huun ki so rahaa huun
kaanTon ko pilaa ke khuun apnaa
raahon mein gulaab bo rahaa huun
be-sabab baat baDhaane ki zarurat kyaa hai
ham khafaa kab the manaane ki zarurat kyaa hai
mai-khaane ki baat na kar vaaiz mujh se
aanaa jaanaa teraa bhi hai meraa bhi
girne do tum mujhe miraa saaghar sambhaal lo
itnaa to mere yaar karo main nashe mein huun
tabaah kar gai pakke makaan ki khvaahish
main apne gaanv ke kachche makaan se bhi gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
meri tanhaai ki pagDanDi par
mere ham-raah khudaa rahtaa hai
jo kahkashaan si nazar aati hain miri aankhein
guzishta shab ke ye aansu hain jo sitaare hue
ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jaate hain lekin aankh tar hoti nahin