Shayari
raat hi ke daaman mein chaand bhi hain taare bhi
raat hi ki qismat hai be-charaagh honaa bhi
sharif log kahaan jaaein kyaa karein aakhir
zamin chikhti phirti hai aasmaan chup-chaap
شریف لوگ کہاں جائیں کیا کریں آخر
زمیں چیختی پھرتی ہے آسماں چپ چاپ
शरीफ़ लोग कहाँ जाएँ क्या करें आख़िर
ज़मीं चीख़ती फिरती है आसमाँ चुप-चाप

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge