Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
حسن ایسا تھا کہ ہر اک آئنا کم پڑ گیا
آئنہ کیا عمر بھر کا دیکھنا کم پڑ گیا
हुस्न ऐसा था कि हर इक आइना कम पड़ गया
आइना क्या उम्र भर का देखना कम पड़ गया

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
vo mire bas ko kaise samjhegaa
jo miri bebasi ko samjhaa nahin
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tumhin ko chaaheinge zindagi bhar kisi se ulfat nahin kareinge
jo kah diyaa hai so kah diyaa hai nai mohabbat nahin kareinge
tamaam umr jo ki ham se be-rukhi sab ne
kafan mein ham bhi azizon se munh chhupaa ke chale
use zid ki 'vaamiq'-e-shikva-gar kisi raaz se na ho baa-khabar
mujhe naaz hai ki ye dida-var miri umr bhar ki talaash hai