Shayari
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
کتاب عشق میں سائے کا مطلب
در و دیوار کا سایہ نہیں ہے
किताब-ए-इश्क़ में साए का मतलब
दर-ओ-दीवार का साया नहीं है

kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
vo mire bas ko kaise samjhegaa
jo miri bebasi ko samjhaa nahin
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baDaa hi farq hai ai yaar ham donon ke jazbon mein
tumhein mujh se mohabbat thi mujhe tum se mohabbat hai
ranj-o-gham aur alam-o-dard kaa lashkar nikle
ishq to tab hai jab aankhon se samandar nikle
pyaar ki baatein kijiye saahab
lutf sohbat kaa guftugu se hai
harjaaiyon ke ishq ne kyaa kyaa kiyaa zalil
rusvaa rahe kharaab rahe dar-ba-dar rahe