Shayari
dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
dil pareshaan ho magar aankh mein hairaani na ho
khvaab dekho ki haqiqat se pashimaani na ho
دل پریشاں ہو مگر آنکھ میں حیرانی نہ ہو
خواب دیکھو کہ حقیقت سے پشیمانی نہ ہو
दिल परेशाँ हो मगर आँख में हैरानी न हो
ख़्वाब देखो कि हक़ीक़त से पशीमानी न हो

dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahin koi
kyuun vaqt ek moD pe Thahraa huaa saa hai
zabaan mili bhi to kis vaqt be-zabaanon ko
sunaane ke liye jab koi daastaan na rahi
safar kaa nashsha chaDhaa hai to kyuun utar jaae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae
har taraf apne ko bikhraa paaoge
aainon ko toD ke pachhtaaoge
bataaun kis tarah ahbaab ko aankhein jo aisi hain
ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchein sameTin hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aankh rahzan nahin to phir kyaa hai
luuT leti hai qaafila dil kaa
raat bhar un kaa tasavvur dil ko taDpaataa rahaa
ek naqsha saamne aataa rahaa jaataa rahaa
mujh ko mazaa hai chheD kaa dil maantaa nahin
gaali sune baghair sitam-gar kahe baghair
ab jis dil-e-khvaabida ki khulti nahin aankhein
raaton ko sirhaane mire bedaar yahi thaa