Shayari
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
bigDi hui is shahr ki haalat bhi bahut hai
jaaun bhi kahaan is se mohabbat bhi bahut hai
بگڑی ہوئی اس شہر کی حالت بھی بہت ہے
جاؤں بھی کہاں اس سے محبت بھی بہت ہے
बिगड़ी हुई इस शहर की हालत भी बहुत है
जाऊँ भी कहाँ इस से मोहब्बत भी बहुत है

ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
khuli fazaa mein agar laDkhaDaa ke chal na sakein
to zahr piinaa hai behtar sharaab piine se
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
tikhe to ho pa sach kaho us vaqt kyaa karo
tum ko gale lagaa le agar pyaar se koi