Shayari
zindagi aise bhi haalaat banaa deti hai
log saanson kaa kafan oDh ke mar jaate hain
maut ko ham ne kabhi kuchh nahin samjhaa magar aaj
apne bachchon ki taraf dekh ke Dar jaate hain
موت کو ہم نے کبھی کچھ نہیں سمجھا مگر آج
اپنے بچوں کی طرف دیکھ کے ڈر جاتے ہیں
मौत को हम ने कभी कुछ नहीं समझा मगर आज
अपने बच्चों की तरफ़ देख के डर जाते हैं

zindagi aise bhi haalaat banaa deti hai
log saanson kaa kafan oDh ke mar jaate hain
sab se pahle dil ke khaali-pan ko bharnaa
paisa saari umr kamaayaa jaa saktaa hai
apne khuun se itni to ummidein hain
apne bachche bhiiD se aage nikleinge
har kone se teri khushbu aaegi
har sanduq mein tere kapDe nikleinge
umr kaa ek aur saal gayaa
vaqt phir ham pe khaak Daal gayaa
abhi raushan huaa jaataa hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahi hai
hayaat ho ki ajal sab se kaam le ghaafil
ki mukhtasar bhi hai kaar-e-jahaan daraaz bhi hai
milegi aakhiri khaane mein maut hi sab ko
bisaat-e-dahr pe paidal ho yaa ho phir vo savaar
marghaT path par dekh ke ham ko jaane kyaa kyaa sochein vo
aankhon se kyaa punny kamaae honTon se kyaa daan hue
apne kaandhon pe liye phirtaa huun apni hi salib
khud miri maut kaa maatam hai mire jiine mein
ye jo tum maut se Daraate ho
zindagi sab kaa masala nahin hai
pasina maut kaa maathe pe aayaa aaina laao
ham apni zindagi ki aakhri tasvir dekheinge