Shayari
miir ke kuchh ashaar milaa kar raashid ki kuchh nazmon mein
vahshat ki aamezish kar ke ik uslub banaanaa hai
ye jo tum maut se Daraate ho
zindagi sab kaa masala nahin hai
یہ جو تم موت سے ڈراتے ہو
زندگی سب کا مسئلہ نہیں ہے
ये जो तुम मौत से डराते हो
ज़िंदगी सब का मसअला नहीं है

miir ke kuchh ashaar milaa kar raashid ki kuchh nazmon mein
vahshat ki aamezish kar ke ik uslub banaanaa hai
siiTi ki aavaaz suni aur saaraa maazi lauT aayaa
pas-manzar mein rail nahin hai puuraa ek afsaana hai
jitni fursat hai zindagi mein nasib
utni fursat mein main se tu ho jaa
tire baghair guzaaraa nahin kisi surat
use ye baat bataane se baat bigDi hai
shaam hote hi tere hijr kaa dukh
dil mein khema lagaa ke baiTh gayaa
bijli gai to vo bhi hamaare makaan ki
bijli giri to vo bhi hamaare makaan par
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
chaahaa thaa Thokaron mein guzar jaae zindagi
logon ne sang-e-raah samajh kar haTaa diyaa