Shayari
jaane vo shahr mein ab kis kaa buraa maantaa hai
main to jab baat karun us se buraa maantaa hai
hijr mein itnaa khasaara to nahin ho saktaa
ek hi ishq dobaara to nahin ho saktaa
ہجر میں اتنا خسارہ تو نہیں ہو سکتا
ایک ہی عشق دوبارہ تو نہیں ہو سکتا
हिज्र में इतना ख़सारा तो नहीं हो सकता
एक ही इश्क़ दोबारा तो नहीं हो सकता

jaane vo shahr mein ab kis kaa buraa maantaa hai
main to jab baat karun us se buraa maantaa hai
miri nazar to khalaaon ne baandh rakkhi thi
mujhe zamin se kahaan aasmaan dikhaai diyaa
kaun si aisi kami mere khad-o-khaal mein hai
aaina khush nahin hotaa kabhi mil kar mujh se
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyaan
shahr kaa shahr hamaaraa to nahin ho saktaa
gumraah kab kiyaa hai kisi raah ne mujhe
chalne lagaa huun aap hi apne khilaaf mein
tumhein hi sahraa sambhaalne ki paDi hui hai
nikal ke ghar se bhi ham to ghar se bandhe hue hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pyaar apne pe jo aataa hai to kyaa karte hain
aaina dekh ke munh chuum liyaa karte hain
main to miTTi ho rahaa thaa ishq mein lekin 'ataa'
aa gai mujh mein kahin se be-dimaaghi 'mir' ki
vo meri raah mein kaanTe bichhaae main lekin
usi ko pyaar karun us pe e'tibaar karun
tanhaai se bachaav ki surat nahin karun
mar jaaun kyaa kisi se mohabbat nahin karun