Shayari
ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
jaane kis ki thi khataa yaad nahin
ham hue kaise judaa yaad nahin
جانے کس کی تھی خطا یاد نہیں
ہم ہوئے کیسے جدا یاد نہیں
जाने किस की थी ख़ता याद नहीं
हम हुए कैसे जुदा याद नहीं

ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
main tohfa le ke aayaa huun tamannaaon ke phulon kaa
luTaane ko bahaar-e-zindagaani le ke aayaa huun
dilon kaa zikr hi kyaa hai milein milein na milein
nazar milaao nazar se nazar ki baat karo
sau baar chaman mahkaa sau baar bahaar aai
duniyaa ki vahi raunaq dil ki vahi tanhaai
is aalam-e-viraan mein kyaa anjuman-aaraai
do roz ki mahfil hai ik umr ki tanhaai
kaun kis kaa gham khaae kaun kis ko bahlaae
teri be-kasi tanhaa mary bebasi tanhaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
meri fariyaad koi naiin suntaa
koi is shahr mein bhi bastaa hai
meri saanson ne aaj dastak di
yaad aayaa ki haan main zinda huun
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa
sunsaan kar diyaa mire pahlu ko le ke dil
zaalim ne luuT kar miri basti tabaah ki
sayyaad o baaghbaan mein bahut hoti hai salaah
aisaa na ho kahin gul o bulbul mein jang ho