Shayari
zindagi ek film hai meri
jis mein hansne kaa scene hai hi nahin
vahshat ne mujh hasin ko behaal kar diyaa
kamzor dil ke log na dekhein miri taraf
وحشت نے مجھ حسین کو بے حال کر دیا
کمزور دل کے لوگ نہ دیکھیں مری طرف
वहशत ने मुझ हसीन को बेहाल कर दिया
कमज़ोर दिल के लोग न देखें मिरी तरफ़

zindagi ek film hai meri
jis mein hansne kaa scene hai hi nahin
puchh mujh se ki kis tarah main ne
teri tasvir pe guzaaraa kiyaa
haalaanki ek shakhs tumhaari jagah pe hai
lekin tumhaaraa is se khalaa bhar nahin rahaa
ik samt ghar ke log hain ik samt 'ishq hai
ai naujavaan laDki himaaqat ki baat hai
hamaari aankh ke aansu sameTo
tumhaaraa is se kharcha chal rahaa hai
dekh aansu na qaid ho jaae
meri tasvir khinchne vaale
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye to nahin ki khvaab mein duniyaa badal gai
bedaar jab hue to tasavvur nayaa milaa
ik nigaah-e-ghalat-andaaz sahi
dil ki aakhir koi qimat hogi
qismaton se milaa hai dard hamein
kahin aaraam-e-dil na ho jaae
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko kharaab-e-talkhi-e-hijraan to kijiye