Shayari
ghar to kyaa ghar kaa nishaan bhi nahin baaqi 'safdar'
ab vatan mein kabhi jaaeinge to mehmaan honge
S
Safdar Mirzapuriqismaton se milaa hai dard hamein
kahin aaraam-e-dil na ho jaae
قسمتوں سے ملا ہے درد ہمیں
کہیں آرام دل نہ ہو جائے
क़िस्मतों से मिला है दर्द हमें
कहीं आराम-ए-दिल न हो जाए
ghar to kyaa ghar kaa nishaan bhi nahin baaqi 'safdar'
ab vatan mein kabhi jaaeinge to mehmaan honge
ik nigaah-e-ghalat-andaaz sahi
dil ki aakhir koi qimat hogi
jaur-e-aflaak ki shirkat ki zarurat kyaa hai
aap kaafi hain zamaane ko sataane ke liye
qimat-e-jins-e-vafaa nim-nigaahi tauba
aisi baatein na karein aap ki saudaa na bane
zaraa vo khaak mein milne na de khun-e-shahidaan ko
khudaa taufiq de itni zamin-e-ku-e-jaanaan ko
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dard kaa zaaiqa bataaun kyaa
ye ilaaqa zabaan se baahar hai
tumhaare hisse ke jitne bhi gham hain main le luun
mire nasib ki har ik khushi mile tum ko
ek dard ki lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khuun se aabyaari ki