Shayari
teraa hi ho ke jo rah jaaun to phir kyaa hogaa
ai junun aur hain duniyaa mein bahut kaam mujhe
bujhin shamein to dil jalaae hain
yuun andheron mein raushni ki hai
بجھیں شمعیں تو دل جلائے ہیں
یوں اندھیروں میں روشنی کی ہے
बुझीं शमएँ तो दिल जलाए हैं
यूँ अंधेरों में रौशनी की है

teraa hi ho ke jo rah jaaun to phir kyaa hogaa
ai junun aur hain duniyaa mein bahut kaam mujhe
dil ne chupke se kahaa koshish-e-naakaam ke baad
zahr hi dard-e-mohabbat ki davaa ho jaise
na jaane haar hai yaa jiit kyaa hai
ghamon par muskuraanaa aa gayaa hai
manzil na mili to gham nahin hai
apne ko to kho ke paa gayaa huun
yuun guzartaa hai tiri yaad ki vaadi mein khayaal
khaarzaaron mein koi barhana-paa ho jaise
main samajhtaa huun mujhe daulat-e-kaunain mili
kaun kahtaa hai ki vo kar gae badnaam mujhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson
dil-e-viraan ko yuun aabaad kiyaa hai barson
dil kai saal se marghaT ki tarah suunaa hai
ham kai saal se raushan hain chitaaon ki tarah
jo bhi hai dil mein aap ke khul kar bataaiye hamein
kahte hain aap Thiik hain rahte hain be-qaraar se