Shayari
teraa hi ho ke jo rah jaaun to phir kyaa hogaa
ai junun aur hain duniyaa mein bahut kaam mujhe
manzil na mili to gham nahin hai
apne ko to kho ke paa gayaa huun
منزل نہ ملی تو غم نہیں ہے
اپنے کو تو کھو کے پا گیا ہوں
मंज़िल न मिली तो ग़म नहीं है
अपने को तो खो के पा गया हूँ

teraa hi ho ke jo rah jaaun to phir kyaa hogaa
ai junun aur hain duniyaa mein bahut kaam mujhe
dil ne chupke se kahaa koshish-e-naakaam ke baad
zahr hi dard-e-mohabbat ki davaa ho jaise
na jaane haar hai yaa jiit kyaa hai
ghamon par muskuraanaa aa gayaa hai
yuun guzartaa hai tiri yaad ki vaadi mein khayaal
khaarzaaron mein koi barhana-paa ho jaise
main samajhtaa huun mujhe daulat-e-kaunain mili
kaun kahtaa hai ki vo kar gae badnaam mujhe
bujhin shamein to dil jalaae hain
yuun andheron mein raushni ki hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
tum jo chaaho to mire dard kaa darmaan ho jaae
varna mushkil hai ki mushkil miri aasaan ho jaae
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain