Shayari
'shakil' hijr ke zinon pe ruk gaiin yaadein
isi maqaam par aa kar Thahar gai shab bhi
phir koi choT ubhri dil mein kasak si jaagi
yaadon ki aaj shaayad purvaai chal rahi hai
پھر کوئی چوٹ ابھری دل میں کسک سی جاگی
یادوں کی آج شاید پروائی چل رہی ہے
फिर कोई चोट उभरी दिल में कसक सी जागी
यादों की आज शायद पुर्वाई चल रही है

'shakil' hijr ke zinon pe ruk gaiin yaadein
isi maqaam par aa kar Thahar gai shab bhi
rishta rahaa ajiib miraa zindagi ke saath
chaltaa ho jaise koi kisi ajnabi ke saath
ahrman kaa raqs-e-vahshat har gali har moD par
barbariyyat dekh kar hai khud qazaa sahmi hui
maut ke khunkhaar panjon mein sisakti hai hayaat
aaj hai insaaniyat ki har adaa sahmi hui
gard-e-safar ke saath thaa vaabasta intizaar
ab to kahin ghubaar bhi baaqi nahin rahaa
us se bachhDaa to yuun lagaa jaise
koi mujh mein bikhar gayaa saahab
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
jab bhi ghairon ki inaayat dekhi
ham ko apnon ke sitam yaad aae
choT jab dil par lage fariyaad paidaa kyuun na ho
ai sitam-aaraa jo aisaa ho to aisaa kyuun na ho
hasin yaadon ke chaand ko alvidaaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aayaa
mujh ko maalum thaa ik roz chalaa jaaegaa!
vo miri umr ko yaadon ke havaale kar ke