Shayari
kis qadar tund bhari hai mire paimaane mein
ki chhiDak duun to lage aag abhi maikhaane mein
bhalaa vo khaatir-e-aazurda ki taskin kyaa jaanein
jinhon ne khud-numaai khud-parasti zindagi bhar ki
بھلا وہ خاطر آزردہ کی تسکین کیا جانیں
جنہوں نے خود نمائی خود پرستی زندگی بھر کی
भला वो ख़ातिर-ए-आज़ुर्दा की तस्कीन क्या जानें
जिन्हों ने ख़ुद-नुमाई ख़ुद-परस्ती ज़िंदगी भर की

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne