Shayari
roza rakhtaa huun subuhi pi ke hangaam-e-sahar
shaam ko masjid mein hotaa huun jamaaat kaa sharik
afsaana-e-majnun se nahin kam miraa qissa
is baat ko jaane do ki mashhur nahin hai
افسانۂ مجنوں سے نہیں کم مرا قصہ
اس بات کو جانے دو کہ مشہور نہیں ہے
अफ़्साना-ए-मजनूँ से नहीं कम मिरा क़िस्सा
इस बात को जाने दो कि मशहूर नहीं है

roza rakhtaa huun subuhi pi ke hangaam-e-sahar
shaam ko masjid mein hotaa huun jamaaat kaa sharik
vaaiz o shaikh sabhi khuub hain kyaa batlaaun
main ne maikhaane se kis kis ko nikalte dekhaa
iid hai ham ne bhi jaanaa ki na hoti gar iid
mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyuun vaa kartaa
shabistaan mein raho baaghon mein khelo mujh se kyuun puchho
ki raatein kis tarah kaTti hain din kaise guzarte hain
kahte hain chhup ke raat ko piitaa hai roz mai
vaaiz se raah kijiye paidaa kisi tarah
jab tiraa naam sunaa to nazar aayaa goyaa
kis se kahiye ki tujhe kaan se ham dekhte hain
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
khud hi jaane lage the aur khud hi
raasta rok kar khaDe hue hain
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain