Shayari
havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
dil ki hasrat na rahi dil mein mire kuchh baaqi
ek hi tegh lagaa aisi ai jallaad ki bas
دل کی حسرت نہ رہی دل میں مرے کچھ باقی
ایک ہی تیغ لگا ایسی اے جلاد کہ بس
दिल की हसरत न रही दिल में मिरे कुछ बाक़ी
एक ही तेग़ लगा ऐसी ऐ जल्लाद कि बस

havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
buraa na maaniyo main puchhtaa huun ai zaalim
ki be-kason ke sataae se kuchh bhalaa bhi hai
aataa nahin vo yaar-e-sitamgar to kyaa huaa
koi gham to us kaa dil se hamaare judaa nahin
aaine ko tiri surat se na ho kyuun kar hairat
dar o divaar tujhe dekh ke hairaan hai aaj
imaan o diin se 'taabaan' kuchh kaam nahin hai ham ko
saaqi ho aur mai ho duniyaa ho aur ham hon
le meri khabar chashm mire yaar ki kyun-kar
bimaar ayaadat kare bimaar ki kyun-kar
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye kaun vaqt ki surat mujhe badaltaa hai
ye kyaa kisi ke liye kuchh huun kuchh kisi ke liye
ye bhi koi zindagi mein zindagi hai ham-nafas
dil kahin hai ham kahin hain aur jaanaana kahin
rihaa kar de qafas ki qaid se ghaayal parinde ko
kisi ke dard ko is dil mein kitne saal paalegaa