Shayari
main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
main ki kaaghaz ki ek kashti huun
pahli baarish hi aakhiri hai mujhe
میں کہ کاغذ کی ایک کشتی ہوں
پہلی بارش ہی آخری ہے مجھے
मैं कि काग़ज़ की एक कश्ती हूँ
पहली बारिश ही आख़िरी है मुझे

main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
teraa chup rahnaa mire zehn mein kyaa baiTh gayaa
itni aavaazein tujhe diin ki galaa baiTh gayaa
apni masti mein bahtaa dariyaa huun
main kinaara bhi huun bhanvar bhi huun
daastaan huun main ik tavil magar
tu jo sun le to mukhtasar bhi huun
vo jis ki chhaanv mein pachchis saal guzre hain
vo peD mujh se koi baat kyuun nahin kartaa
sahraa se ho ke baagh mein aayaa huun sair ko
haathon mein phuul hain mire paanv mein ret hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ho lene do baarish ham bhi ro leinge
dil mein hain kuchh zakhm puraane dho leinge
main abr-o-baad se tufaan se sab se Dartaa huun
gharib-e-shahr huun kaaghaz ke ghar mein rahtaa huun
hijr ki raat hai aur aankh mein aansu bhi nahin
aise mausam mein to barsaat huaa karti thi
yuun dil mein aaj nuur ki baarish hui 'jamil'
jaise koi charaagh jalaa de bujhaa huaa
kyaa kahaani ko isi moD pa ruknaa hogaa
raushni hai na samundar hai na barsaatein hain