Shayari
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
ho lene do baarish ham bhi ro leinge
dil mein hain kuchh zakhm puraane dho leinge
ہو لینے دو بارش ہم بھی رو لیں گے
دل میں ہیں کچھ زخم پرانے دھو لیں گے
हो लेने दो बारिश हम भी रो लेंगे
दिल में हैं कुछ ज़ख़्म पुराने धो लेंगे

aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
main khud ko dekhun agar dusre ki aankhon se
mileingi khaamiyaan apne hi shah-kaaron mein
khat ho koi kitaab ho yaa dil kaa zakhm ho
jo bhi hai mere paas nishaani usi ki hai
khataa us ki muaafi se baDi hai
main kyaa kartaa sazaa deni paDi hai
ye baat sach hai ki vo zindagi nahin meri
magar vo mere liye zindagi se kam bhi nahin
aasmaan tu ne chhupaa rakkhaa hai suraj ko kahaan
kyuun kalaai mein tiri band ghaDi hai ab bhi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa