Shayari
phir jo karne lagaa hai tu vaada
kyaa mukarne kaa phir iraada hai
zindagi bhar ki riyaazat miri be-kaar gai
ik khayaal aayaa thaa badle mein vo kyaa detaa hai
زندگی بھر کی ریاضت مری بیکار گئی
اک خیال آیا تھا بدلے میں وہ کیا دیتا ہے
ज़िंदगी भर की रियाज़त मिरी बे-कार गई
इक ख़याल आया था बदले में वो क्या देता है

phir jo karne lagaa hai tu vaada
kyaa mukarne kaa phir iraada hai
miri tavajjoh faqat mire kaam par rahegi
main khud ko saabit karungaa daavaa nahin karungaa
ham duniyaa se jab tang aayaa karte hain
apne saath ik shaam manaayaa karte hain
safar mein hoti hai pahchaan kaun kaisaa hai
ye aarzu thi mire saath tu safar kartaa
zindagi jang hai aasaab ki aur ye bhi suno
ishq aasaab ko mazbut banaa detaa hai
main ne bakhsh di tiri kyuun khataa tujhe ilm hai
tujhe di hai kitni kaDi sazaa tujhe ilm hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ham bhi 'aslam' isi gumaan mein hain
ham ne bhi koi zindagi ji thi
dam bhar rahe habaab-e-namat kaaenaat mein
is zindagi mein naam nahin maah-o-saal kaa
zindagi par bhi koi zor nahin
dil ne har chiiz paraai di hai