Shayari
is khubi-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai
vo shakhs miri jaan kaa talabgaar huaa hai
fareb-e-qurb-e-yaar ho ki hasrat-e-supurdagi
kisi sabab se dil mujhe ye be-qaraar chaahiye
فریب قرب یار ہو کہ حسرت سپردگی
کسی سبب سے دل مجھے یہ بے قرار چاہئے
फ़रेब-ए-क़ुर्ब-ए-यार हो कि हसरत-ए-सुपुर्दगी
किसी सबब से दिल मुझे ये बे-क़रार चाहिए

is khubi-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai
vo shakhs miri jaan kaa talabgaar huaa hai
shahron ke saare jangal gunjaan ho gae hain
phir log mere andar sunsaan ho gae hain
duur tak ye raaste khaamosh hain
duur tak ham khud ko sunte jaaeinge
dukhon ke ruup bahut aur sukhon ke khvaab bahut
tiraa karam hai bahut par mire azaab bahut
TuuTi hai ye kashti to mire saath safar ko
vo jaan-e-masaafat miraa tayyaar huaa hai
lamha-e-imkaan ko pahlu badalte dekhnaa
aatish-e-be-rang mein khud ko pighalte dekhnaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
visaal-e-yaar gar haraam hai to sun
haraam ko halaal kar visaal kar
ham do bande hain aur cigarette ek
ab khabar hogi dosti ki dost