Shayari
vahi ik aasmaan hai jis ko ham tum taar kahte hain
kabhi tasbih kahte hain kabhi zunnaar kahte hain
T
Tek Chand Baharnaaz be-jaa o lutf be-mauqaa
dilbaron ki adaa hai kyaa kyaa kuchh
ناز بے جا و لطف بے موقع
دلبروں کی ادا ہے کیا کیا کچھ
नाज़ बे-जा ओ लुत्फ़ बे-मौक़ा'
दिलबरों की अदा है क्या क्या कुछ
vahi ik aasmaan hai jis ko ham tum taar kahte hain
kabhi tasbih kahte hain kabhi zunnaar kahte hain
kahte hain andalib-e-giraftaar mujh ko dekh
ummid jivne ki nahin is bahaar mein
hamein vaaiz Daraataa kyuun hai dozakh ke azaabon se
maaasi go hamaare besh hon kuchh maghfirat kam hai
nahin maalum kyaa hikmat hai shaikh is aafrinash ki
hamein aisaa kharaabaati kiyaa tujh ko munaajaati
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi