Shayari
uTThe jo tere dar se to duniyaa simaT gai
baiThe the tere dar pe zamaana liye hue
U
Umar Farooqab ku-e-sanam chaar qadam hi kaa safar hai
kuchh aur masaafat ko Thahar kyuun nahin jaate
اب کوئے صنم چار قدم ہی کا سفر ہے
کچھ اور مسافت کو ٹھہر کیوں نہیں جاتے
अब कू-ए-सनम चार क़दम ही का सफ़र है
कुछ और मसाफ़त को ठहर क्यूँ नहीं जाते
uTThe jo tere dar se to duniyaa simaT gai
baiThe the tere dar pe zamaana liye hue
mujhe kharid rahe hain mire sabhi apne
main bik to jaaun magar saamne to aae koi
badan kaa bojh uThaanaa bhi ab muhaal huaa
jo khud se haar ke baiThe to phir ye haal huaa
mire maalik mujhe is khaak se be-ghar na karnaa
mohabbat ke safar mein chalte chalte thak gayaa huun main
hamein to TuuTi hui kashtiyaan nahin dikhtin
hamaare ghar se hi dariyaa dikhaai detaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
dimaagh un ke tajassus mein jism ghar mein rahaa
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein rahaa