Shayari
main ne betaab ho ke haath baDhaae
us ne betaab ho ke chuum liye
U
Ummaturrauf Nasreendekhiye ab na yaad aaiye aap
aaj kal aap se khafaa huun main
دیکھیے اب نہ یاد آئیے آپ
آج کل آپ سے خفا ہوں میں
देखिए अब न याद आइए आप
आज कल आप से ख़फ़ा हूँ मैं
main ne betaab ho ke haath baDhaae
us ne betaab ho ke chuum liye
tumhaari yaad baDi khush-gavaar thi lekin
dil-e-hazin ke liye talkhiyaan baDhaa bhi gai
kyaa tumhein ahd-e-mohabbat ke vo lamhe yaad hain
jab nigaahein bolti thiin aur ham khaamosh the
muravvat mein hone lagaa hai izaafa
mohabbat mein aane lagi hai kami
vo multafit the ham hi bayaan kar sake na haal
manzil ke paas aa ke qadam Dagmagaa gae
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
dil mein ghuT ghuT kar inhein rahte zamaana ho gayaa
meri fariyaadein bhi ab aamaada-e-fariyaad hain
yaad karne ki vo shiddat kho gai jaane kahaan
ab kisi ko hichkiyaan bhi der tak aati nahin
sipah-saalaar ke jab haath kaanpein to sipaahi bhi
ziyaada der phir maidaan mein Thahraa nahin karte
dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujhe
yaad karte hain kare yuun hi hamein bhi yaad tu