Shayari
main ne betaab ho ke haath baDhaae
us ne betaab ho ke chuum liye
U
Ummaturrauf Nasreenkyaa tumhein ahd-e-mohabbat ke vo lamhe yaad hain
jab nigaahein bolti thiin aur ham khaamosh the
کیا تمہیں عہد محبت کے وہ لمحے یاد ہیں
جب نگاہیں بولتی تھیں اور ہم خاموش تھے
क्या तुम्हें अहद-ए-मोहब्बत के वो लम्हे याद हैं
जब निगाहें बोलती थीं और हम ख़ामोश थे
main ne betaab ho ke haath baDhaae
us ne betaab ho ke chuum liye
tumhaari yaad baDi khush-gavaar thi lekin
dil-e-hazin ke liye talkhiyaan baDhaa bhi gai
dekhiye ab na yaad aaiye aap
aaj kal aap se khafaa huun main
muravvat mein hone lagaa hai izaafa
mohabbat mein aane lagi hai kami
vo multafit the ham hi bayaan kar sake na haal
manzil ke paas aa ke qadam Dagmagaa gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
unhein bhi josh-e-ulfat ho to lutf uTThe mohabbat kaa
hamin din-raat agar taDpe to phir is mein mazaa kyaa hai
su-e-kalkatta jo ham ba-dil-e-divaana chale
gungunaate hue ik shokh kaa afsaana chale
un ko ulfat hi sahi aghyaar se
ham se kyon aghyaar ki baatein karein