Shayari
main ne betaab ho ke haath baDhaae
us ne betaab ho ke chuum liye
U
Ummaturrauf Nasreentumhaari yaad baDi khush-gavaar thi lekin
dil-e-hazin ke liye talkhiyaan baDhaa bhi gai
تمہاری یاد بڑی خوش گوار تھی لیکن
دل حزیں کے لیے تلخیاں بڑھا بھی گئی
तुम्हारी याद बड़ी ख़ुश-गवार थी लेकिन
दिल-ए-हज़ीं के लिए तल्ख़ियाँ बढ़ा भी गई
main ne betaab ho ke haath baDhaae
us ne betaab ho ke chuum liye
dekhiye ab na yaad aaiye aap
aaj kal aap se khafaa huun main
kyaa tumhein ahd-e-mohabbat ke vo lamhe yaad hain
jab nigaahein bolti thiin aur ham khaamosh the
muravvat mein hone lagaa hai izaafa
mohabbat mein aane lagi hai kami
vo multafit the ham hi bayaan kar sake na haal
manzil ke paas aa ke qadam Dagmagaa gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
ibtidaa vo thi ki jiinaa thaa mohabbat mein muhaal
intihaa ye hai ki ab marnaa bhi mushkil ho gayaa
ishq mein vo bhi ek vaqt hai jab
be-gunaahi gunaah hai pyaare
ik taraf pyaar hai rishta hai vafaadaari hai
aur in sab mein hi us gham ki taraf-daari hai