Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
gham hi gham hain tiri ummid mein kyaa rakkhaa hai
iid aayaa kare ab iid mein kyaa rakkhaa hai
غم ہی غم ہیں تری امید میں کیا رکھا ہے
عید آیا کرے اب عید میں کیا رکھا ہے
ग़म ही ग़म हैं तिरी उम्मीद में क्या रक्खा है
ईद आया करे अब ईद में क्या रक्खा है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
mire khudaa mujhe thoDi si zindagi de de
udaas mere janaaze se jaa rahaa hai koi
teraa milnaa khushi ki baat sahi
tujh se mil kar udaas rahtaa huun