Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
jis ko bhulaane ki khaatir ro ro ke du'aaein maangi thiin
raat ko us kaa yaad na aanaa yaad aayaa to royaa bahut
جس کو بھلانے کی خاطر رو رو کے دعائیں مانگی تھیں
رات کو اس کا یاد نہ آنا یاد آیا تو رویا بہت
जिस को भुलाने की ख़ातिर रो रो के दु'आएँ माँगी थीं
रात को उस का याद न आना याद आया तो रोया बहुत

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
ne tiir kamaan mein hai na sayyaad kamin mein
goshe mein qafas ke mujhe aaraam bahut hai
silvaTein hain mire chehre pe to hairat kyuun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahnaa