Shayari
bhaag chalun yaadon ke zindaan se akasr sochaa lekin
jab bhi qasd kiyaa to dekhaa unchi hai divaar bahut
W
Waheed Arshidil kaa saaraa dard simaT aayaa hai meri palkon mein
kitne taaj-mahal Dubeinge paani ki in bundon mein
دل کا سارا درد سمٹ آیا ہے میری پلکوں میں
کتنے تاج محل ڈوبیں گے پانی کی ان بوندوں میں
दिल का सारा दर्द सिमट आया है मेरी पलकों में
कितने ताज-महल डूबेंगे पानी की इन बूँदों में
bhaag chalun yaadon ke zindaan se akasr sochaa lekin
jab bhi qasd kiyaa to dekhaa unchi hai divaar bahut
gham-e-hayaat ki kilein thiin dast-o-paa mein jaDin
tamaam umr rahe ham salib par laTke
armaan ke taabut mein jab main vaqt ki kilein gaaD chukungaa
phir jab bhi tum yaad aaoge bah jaaoge ashkon mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aisi tanhaa raaton mein hi aati hai
ek ghazal jo shaa'ir ko khaa jaati hai
kaasa-e-dard liye kab se khaDe sochte hain
dast-e-imkaan se kyaa chiiz na jaane nikle
sabhi darvaaze khule hain miri tanhaai ke
saari duniyaa ko mayassar hai rifaaqat meri