Shayari
bhaag chalun yaadon ke zindaan se akasr sochaa lekin
jab bhi qasd kiyaa to dekhaa unchi hai divaar bahut
W
Waheed Arshigham-e-hayaat ki kilein thiin dast-o-paa mein jaDin
tamaam umr rahe ham salib par laTke
غم حیات کی کیلیں تھیں دست و پا میں جڑیں
تمام عمر رہے ہم صلیب پر لٹکے
ग़म-ए-हयात की कीलें थीं दस्त-ओ-पा में जड़ीं
तमाम उम्र रहे हम सलीब पर लटके
bhaag chalun yaadon ke zindaan se akasr sochaa lekin
jab bhi qasd kiyaa to dekhaa unchi hai divaar bahut
dil kaa saaraa dard simaT aayaa hai meri palkon mein
kitne taaj-mahal Dubeinge paani ki in bundon mein
armaan ke taabut mein jab main vaqt ki kilein gaaD chukungaa
phir jab bhi tum yaad aaoge bah jaaoge ashkon mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai